اردو हिंदी
Mujhe kya dekh kar tu tak raha hai | Shaahi Shayari
mujhe kya dekh kar tu tak raha hai

Ghazal

Mujhe kya dekh kar tu tak raha hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

mujhe kya dekh kar tu tak raha hai
tere hathon kaleja pak raha hai

jahan kyunkar na ho nazron mein tarik
tera munh zulf niche Dhak raha hai

tumhaari na-qadar-dani ka afsos
hamare ji mein marte tak raha hai

KHuda ke waste us se na bolo
nashe ki lahr mein kuchh bak raha hai

phira ab tak nahin 'hatim' ka qasid
KHudaya rah mein kya thak raha hai