tabibon ki tawajjoh se maraz hone laga duna
dawa is dard ki batla dil-e-agah kya kije
Shaikh Zahuruddin Hatim
tanhai se aati nahin din raat mujhe nind
ya-rab mera ham-KHwab o ham-aghosh kahan hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
tere aage le chuka KHusraw lab-e-shirin se kaam
tu abas sar phoDta hai kohkan patthar se aaj
Shaikh Zahuruddin Hatim
tere aane se yu KHushi hai dil
jun ki bulbul bahaar ki KHati
Shaikh Zahuruddin Hatim
tir-e-nigah laga ke tum kahte ho phir laga na KHub
mera to kaam ho gaya sine ke par ho na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
tere ruKHsar se be-tarah lipTi jae hai zalim
jo kuchh kahiye to bal kha uljhati hai zulf be-Dhangi
Shaikh Zahuruddin Hatim
teri jo zulf ka aaya KHayal aankhon mein
wahin khaTakne laga baal baal aankhon mein
Shaikh Zahuruddin Hatim
teri mehrab mein abru ki ye KHal
kidhar se aa gaya masjid mein hindu
Shaikh Zahuruddin Hatim
teri nigah se gae khul kiwaD chhati ke
hisar-e-qalb ki goya thi fath tere nam
Shaikh Zahuruddin Hatim