akhe hai shisha mera sang sath rabt-e-qadim
ki aaTh pahr mere dil ko hai shikast se kaam
Shaikh Zahuruddin Hatim
akhta hai ibaadat ke liye hasrat-e-jannat
zahid ki KHuda sath mohabbat sababi hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
iayat bujh tu mashuq ka jaur
ki tujh ko ishq mein kaamil kare hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
ishta-e-umar-daraaz apna main kotah karun
aawe ye tar agar tere ba-kar-e-daman
Shaikh Zahuruddin Hatim
uKHsar ke araq ka tere bhaw dekh kar
pani ke mol nirKH hua hai gulab ka
Shaikh Zahuruddin Hatim
saf dil hai to aa kudurat chhoD
mil har ek rang bich aab ki tarah
Shaikh Zahuruddin Hatim
sahiban-e-qasr ko milti nahin hai baad-e-marg
gor mein sar ke tale takiya ki jaga ek KHisht
Shaikh Zahuruddin Hatim
saqi mujhe KHumar satae hai la sharab
marta hun tishnagi se ai zalim pila shara
Shaikh Zahuruddin Hatim
sabr bin aur kuchh na lo hamrah
kucha-e-ishq tang hai yaro
Shaikh Zahuruddin Hatim