اردو हिंदी
Phir KHabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai | Shaahi Shayari
phir KHabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai

Ghazal

Phir KHabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

phir KHabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai
ab ba-juz zanjir kya tadbir diwane ki hai

KHak kar dewe jala kar pahle phir Tiswe bahae
shama majlis mein baDi dil-soz parwane ki hai

bhed zulfon ka bayan karne mein ho jata hai gung
warna kahne ko jo puchho sau zaban shane ki hai

shaiKH us ki chashm ke goshe se goshe ho kahin
us taraf mat jao nadan rah mai-KHane ki hai

hausla tangi kare hai shahr ke kuche hain tang
ab hawas dil mein hamare sair virane ki hai

chahiye kya baat kahte ho jahan mein qatl-e-am
der munh se ab tumhaare hukm farmane ki hai

ji mein aata hai ki 'hatim' aaj us ko chheDiye
muddaton se dil mein hasrat galiyan khane ki hai