ahl-e-maani juz na bujhega koi is ramz ko
hum ne paya hai KHuda ko surat-e-insan ke bich
Shaikh Zahuruddin Hatim
aa kar teri gali mein qadam-bosi ke liye
phir aasman ki bhul gaya rah aafta
Shaikh Zahuruddin Hatim
adl se kar saltanat ai dil tu tan ke mulk mein
waqt-e-fursat bujh le ye hukmarani phir kahan
Shaikh Zahuruddin Hatim
ada-o-naz o karishma jafa-o-jaur-o-sitam
udhar ye sab hain idhar ek meri jaan tanha
Shaikh Zahuruddin Hatim
abhi masjid-nashin-e-tarum-e-aflak ho jawe
jo sab kuchh chhoD dil tere qadam ki KHak ho jawe
Shaikh Zahuruddin Hatim
aariz se us ke zulf mein kyun-kar hai raushni
zulmat mein to nam nahin aaftab ka
Shaikh Zahuruddin Hatim
aaj hamein aur hi nazar aata hai kuchh sohbat ka rang
bazm hai maKHmur aur saqi nashe mein chur hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
aage kya tum sa jahan mein koi mahbub na tha
kya tumhin KHub bane aur koi KHub na tha
Shaikh Zahuruddin Hatim
aab-e-hayat ja ke kisu ne piya to kya
manind-e-KHizr jag mein akela jiya to kya
Shaikh Zahuruddin Hatim