ghar-ba-ghar hai wo mast-e-ishwa-o-naz
dar-ba-dar hum KHarab hote hain
Shaikh Zahuruddin Hatim
gulshan-e-dahr mein sau rang hain 'hatim' us ke
wo kahin gul hai kahin bu hai kahin buTa hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
hajat charag ki hai kab anjuman mein dil ke
manind-e-shama raushan har ek ustuKHwan hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
hath aata nahin baghair nasib
panw phaila ke so hua so hua
Shaikh Zahuruddin Hatim
hath mein dekh kar tere marham
mere sine ka dagh hansta hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
'hatim' us zalim ke abru ko na chheD
hath kaT jawega ai nadan hai tegh
Shaikh Zahuruddin Hatim
'hatim' us zulf ki taraf mat dekh
jaan kar kyun bala mein phansta hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
hai abas 'hatim' ye sab mazmun o mani ka talash
munh se jo nikla suKHan-go ke so mauzun ho gaya
Shaikh Zahuruddin Hatim
hai kabhu dil mein kabhu ji mein kabhu aankhon ke bich
kaun kahta hai use yaro ki harjai nahin
Shaikh Zahuruddin Hatim

