waqt fursat de to mil baiThen kahin baham do dam
ek muddat se dilon mein hasrat-e-tarfain hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
wasf ankhiyon ka likha hum ne gul-e-baadam par
kar ke nargis ko qalam aur chashm-e-ahu ki dawat
Shaikh Zahuruddin Hatim
wo wahshi is qadar bhaDka hai surat se mere yaro
ki apne dekh sae ko mujhe hamrah jaane hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
ye kis mazhab mein aur mashrab mein hai hindu musalmano
KHuda ko chhoD dil mein ulfat-e-dair-o-haram rakhna
Shaikh Zahuruddin Hatim
ye masla shaiKH se puchho hum is jhagDe se farigh hai
ki DaDhi shahr mein kis ki baDi aur kis ki chhoTi hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
yun na ho yun ho yun hua so kyun
kya hai ye guftugu hua so hua
Shaikh Zahuruddin Hatim
zahid ko hum ne dekh KHarabaat mein kaha
masjid ko apni chhoD kaho tum yahan kahan
Shaikh Zahuruddin Hatim
zahido uTh jao majlis se ki aaj
be-tarah aata hai wo mai-KHwar mast
Shaikh Zahuruddin Hatim
zarf TuTa to wasl hota hai
dil koi TuTa kis tarah joDe
Shaikh Zahuruddin Hatim