samajhte hum nahin jo tum ishaaron bich kahte ho
mufassal ko to hum jaane hain ye mujmal KHuda jaane
Shaikh Zahuruddin Hatim
sau bar tar tar kiya to bhi ab talak
sabit wahi hai dast o gareban ki dosti
Shaikh Zahuruddin Hatim
shahr mein charcha hai ab teri nigah-e-tez ka
do kare dil ke tain ye nimcha angrez ka
Shaikh Zahuruddin Hatim
shaiKH us ki chashm ke goshe se goshe ho kahin
us taraf mat jao nadan rah mai-KHane ki hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
shama har sham tere rone par
subh-dam tak charagh hansta hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
suno hindu musalmano ki faiz-e-ishq se 'hatim'
hua aazad qaid-e-mazhab-o-mashrab se ab farigh
Shaikh Zahuruddin Hatim
swad-e-KHal ke nuqte ki KHubi
jo aashiq hai so til til jaanta hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
tabe raza ka us ki azal sin kiya mujhe
chalta nahin hai zor kisun ka qaza ke hath
Shaikh Zahuruddin Hatim
taba teri ajab tamasha hai
gah tola hai gah masha hai
Shaikh Zahuruddin Hatim