waqt ko kyun bhala bura kahiye
tujh ko hona hi tha juda hum se
Shahryar
wo kaun tha wo kahan ka tha kya hua tha use
suna hai aaj koi shaKHs mar gaya yaro
Shahryar
ya main sochun kuchh bhi na us ke bare mein
ya aisa ho duniya aur badal jae
Shahryar
ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai
ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko
Shahryar
ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai
sae mein us ke baiTh ke rona fuzul hai
Shahryar
ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara
din Dhalte hi dil Dubne lagta hai hamara
Shahryar
zaban mili bhi to kis waqt be-zabanon ko
sunane ke liye jab koi dastan na rahi
Shahryar
zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai
har ghaDi hota hai ehsas kahin kuchh kam hai
Shahryar
zaKHmon ko rafu kar len dil shad karen phir se
KHwabon ki koi duniya aabaad karen phir se
Shahryar