اردو हिंदी
Zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai | Shaahi Shayari
zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai

Ghazal

Zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai

Shahryar

;

zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai
har ghaDi hota hai ehsas kahin kuchh kam hai

ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai
apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai

bichhDe logon se mulaqat kabhi phir hogi
dil mein ummid to kafi hai yaqin kuchh kam hai

ab jidhar dekhiye lagta hai ki is duniya mein
kahin kuchh chiz ziyaada hai kahin kuchh kam hai

aaj bhi hai teri duri hi udasi ka sabab
ye alag baat ki pahli si nahin kuchh kam hai