tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri
dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai
Shahryar
tujhe bhul gaya kabhi yaad nahin karta tujh ko
jo baat bahut pahle karni thi ab ki hai
Shahryar
tu kahan hai tujh se ek nisbat thi meri zat ko
kab se palkon par uThae phir raha hun raat ko
Shahryar
TuTi phuTi kashtiyan dariya mein girdab
mere marne ke liye ye lamhe naya
Shahryar
ummid se kam chashm-e-KHaridar mein aae
hum log zara der se bazar mein aae
Shahryar
umr ka baqi safar karna hai is shart ke sath
dhup dekhen to use sae se tabir karen
Shahryar
umr ka lamba hissa kar ke danai ke nam
hum bhi ab ye soch rahe hain pagal ho jaen
Shahryar
umr-safar jari hai bas ye khel dekhne ko
ruh badan ka bojh kahan tak kab tak Dhoti hai
Shahryar
us ko kisi ke waste be-tab dekhte
hum bhi kabhi ye manzar-e-nayab dekhte
Shahryar