nazrana tere husn ko kya den ki apne pas
le de ke ek dil hai so TuTa hua sa hai
Shahryar
pahle nahai os mein phir aansuon mein raat
yun bund bund utri hamare gharon mein raat
Shahryar
pal bhar mein kaise log badal jate hain yahan
dekho ki ye mufid hai binai ke liye
Shahryar
pichhle safar mein jo kuchh bita bit gaya yaro lekin
agla safar jab bhi tum karna dekho tanha mat karna
Shahryar
aat ko din se milane ki hawas thi hum ko
kaam achchha na tha anjam bhi achchha na hua
Shahryar
sari duniya ke masail yun mujhe darpesh hain
tera gham kafi na ho jaise guzar-auqat ko
Shahryar
sabhi ko gham hai samundar ke KHushk hone ka
ki khel KHatm hua kashtiyan Dubone ka
Shahryar
safar ka nashsha chaDha hai to kyun utar jae
maza to jab hai koi lauT ke na ghar jae
Shahryar
sham hote hi khuli saDkon ki yaad aati hai
sochta roz hun main ghar se nahin niklunga
Shahryar