kahiye to aasman ko zamin par utar laen
mushkil nahin hai kuchh bhi agar Than lijiye
Shahryar
kahne ko to har baat kahi tere muqabil
lekin wo fasana jo mere dil pe raqam hai
Shahryar
kaun si baat hai jo us mein nahin
us ko dekhe meri nazar se koi
Shahryar
KHajil charaghon se ahl-e-wafa ko hona hai
ki sarfaraaz yahan phir hawa ko hona hai
Shahryar
kis kis tarah se mujh ko na ruswa kiya gaya
ghairon ka nam mere lahu se likha gaya
Shahryar
kitni tabdil hui kis liye tabdil hui
jaanna chaho to in aankhon se duniya dekho
Shahryar
koi naya makin nahin aaya to hairat kya
kabhi tum ne khula chhoDa hi nahin darwazon ko
Shahryar
kya koi nai baat nazar aati hai hum mein
aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai
Shahryar
kyun aaj us ka zikr mujhe KHush na kar saka
kyun aaj us ka nam mera dil dukha gaya
Shahryar