ajib saneha mujh par guzar gaya yaro
main apne sae se kal raat Dar gaya yaro
Shahryar
aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua
KHauf ke mare juda shaKH se patta na hua
Shahryar
ab to le de ke yahi kaam hai in aaankhon ka
jin ko dekha nahin un KHwabon ki tabir karen
Shahryar
ab raat ki diwar ko Dhana hai zaruri
ye kaam magar mujh se akele nahin hoga
Shahryar
ab ji ke bahalne ki hai ek yahi surat
biti hui kuchh baaten hum yaad karen phir se
Shahryar
ab jidhar dekhiye lagta hai ki is duniya mein
kahin kuchh chiz ziyaada hai kahin kuchh kam hai
Shahryar
aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye
Shahryar
aankhon mein teri dekh raha hun main apni shakl
ye koi wahima ye koi KHwab to nahin
Shahryar
aankhon ko sab ki nind bhi di KHwab bhi diye
hum ko shumar karti rahi dushmanon mein raat
Shahryar