shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko
main dekhta raha dariya teri rawani ko
Shahryar
shahr-e-ummid haqiqat mein nahin ban sakta
to chalo us ko tasawwur hi mein tamir karen
Shahryar
shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai
rishta hi meri pyas ka pani se nahin hai
Shahryar
sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai
is shahr mein har shaKHs pareshan sa kyun hai
Shahryar
siyah raat nahin leti nam Dhalne ka
yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
Shahryar
tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo
ta-hadd-e-nazar ek bayaban sa kyun hai
Shahryar
tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga
aaj ki raat bhi darwaza khula rakkhunga
Shahryar
tera KHayal bhi teri tarah sitamgar hai
jahan pe chahiye aana wahin nahin aata
Shahryar
tujh se bichhDe hain to ab kis se milati hai hamein
zindagi dekhiye kya rang dikhati hai hamein
Shahryar