waqt ko kyun bhala bura kahiye
tujh ko hona hi tha juda hum se
Shahryar
wo kaun tha wo kahan ka tha kya hua tha use
suna hai aaj koi shaKHs mar gaya yaro
Shahryar
ya main sochun kuchh bhi na us ke bare mein
ya aisa ho duniya aur badal jae
Shahryar
ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai
ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko
Shahryar
ye ek shajar ki jis pe na kanTa na phul hai
sae mein us ke baiTh ke rona fuzul hai
Shahryar
ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara
din Dhalte hi dil Dubne lagta hai hamara
Shahryar
ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota
main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota
Shahryar
ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai
hadd-e-nigah tak jahan ghubar hi ghubar hai
Shahryar
ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote
ek pal bhi agar bhul se hum so gae hote
Shahryar