wo apne zoam mein tha be-KHabar raha mujh se
use KHabar hi nahin main nahin raha us ka
Ahmad Faraz
wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai
ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi
Ahmad Faraz
wo KHar KHar hai shaKH-e-gulab ki manind
main zaKHm zaKHm hun phir bhi gale lagaun use
Ahmad Faraz
wo samne hain magar tishnagi nahin jati
ye kya sitam hai ki dariya sarab jaisa hai
Ahmad Faraz
wo waqt aa gaya hai ki sahil ko chhoD kar
gahre samundaron mein utar jaana chahiye
Ahmad Faraz
yaad aai hai to phir TuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
Ahmad Faraz
ye ab jo aag bana shahr shahr phaila hai
yahi dhuan mere diwar o dar se nikla tha
Ahmad Faraz
ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare
so jae bhi to pahr do pahr ko jata hai
Ahmad Faraz
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se mila hai mujhe
Ahmad Faraz