اردو हिंदी
Na dil se aah na lab se sada nikalti hai | Shaahi Shayari
na dil se aah na lab se sada nikalti hai

Ghazal

Na dil se aah na lab se sada nikalti hai

Ahmad Faraz

;

na dil se aah na lab se sada nikalti hai
magar ye baat baDi dur ja nikalti hai

sitam to ye hai ki ahd-e-sitam ke jate hi
tamam KHalq meri ham-nawa nikalti hai

visal-o-hijr ki hasrat mein ju-e-kam-maya
kabhi kabhi kisi sahra mein ja nikalti hai

main kya karun mere qatil na chahne par bhi
tere liye mere dil se dua nikalti hai

wo zindagi ho ki duniya 'faraaz' kya kije
ki jis se ishq karo bewafa nikalti hai