اردو हिंदी
Usko juda hue bhi zamana bahut hua | Shaahi Shayari
usko juda hue bhi zamana bahut hua

Ghazal

Usko juda hue bhi zamana bahut hua

Ahmad Faraz

;

us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ai marg-e-na-gahan tera aana bahut hua

hum KHuld se nikal to gae hain par ai KHuda
itne se waqiye ka fasana bahut hua

ab hum hain aur sare zamane ki dushmani
us se zara sa rabt baDhana bahut hua

ab kyun na zindagi pe mohabbat ko war den
is aashiqi mein jaan se jaana bahut hua

ab tak to dil ka dil se taaruf na ho saka
mana ki us se milna milana bahut hua

kya kya na hum KHarab hue hain magar ye dil
ai yaad-e-yar tera Thikana bahut hua

kahta tha nasehon se mere munh na aaiyo
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua

lo phir tere labon pe usi bewafa ka zikr
ahmad-'faraaz' tujh se kaha na bahut hua