har tarah ki be-sar-o-samaniyon ke bawajud
aaj wo aaya to mujh ko apna ghar achchha laga
Ahmad Faraz
hawa mein nashsha hi nashsha faza mein rang hi rang
ye kis ne pairahan apna uchhaal rakkha hai
Ahmad Faraz
ho dur is tarah ki tera gham juda na ho
pas aa to yun ki jaise kabhi tu mila na ho
Ahmad Faraz
hua hai tujh se bichhaDne ke baad ye malum
ki tu nahin tha tere sath ek duniya thi
Ahmad Faraz
hujum aisa ki rahen nazar nahin aatin
nasib aisa ki ab tak to qafila na hua
Ahmad Faraz
ek to hum ko adab aadab ne pyasa rakkha
us pe mahfil mein surahi ne bhi gardish nahin ki
Ahmad Faraz
ek ye bhi to andaz-e-ilaj-e-gham-e-jaan hai
ai chaaragaro dard baDha kyun nahin dete
Ahmad Faraz
is ahd-e-zulm mein main bhi sharik hun jaise
mera sukut mujhe saKHt mujrimana laga
Ahmad Faraz
is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
aaj pahli bar us se main ne bewafai ki
Ahmad Faraz

