mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai
parwana hun main anjuman-e-kaenat ka
Agha Hajju Sharaf
jaane kya mahfil-e-parwana mein dekha us ne
phir zaban khul na saki shama jo KHamosh hui
Aleem Masroor
sab ek charagh ke parwane hona chahte hain
ajib log hain diwane hona chahte hain
Asad Badayuni
shama bujh kar rah gai parwana jal kar rah gaya
yaadgar-e-husn-o-ishq ek dagh dil par rah gaya
Aziz Lakhnavi
tu kahin ho dil-e-diwana wahan pahunchega
shama hogi jahan parwana wahan pahunchega
Bahadur Shah Zafar
parwane ki tapish ne KHuda jaane kan mein
kya kah diya ki shama ke sar se dhuan uTha
Ismail Merathi
parwane aa hi jaenge khinch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil mein sirf shama jalane ki der hai
Mahirul Qadri