sab ek charagh ke parwane hona chahte hain
ajib log hain diwane hona chahte hain
na jaane kis liye KHushiyon se bhar chuke hain dil
makan ab ye aza-KHane hona chahte hain
wo bastiyan ki jahan phul hain darichon mein
isi nawah mein virane hona chahte hain
takallufat ki nazmon ka silsila hai siwa
talluqat ab afsane hona chahte hain
junun ka zom bhi rakhte hain apne zehn mein hum
paDe jo waqt to farzane hona chahte hain
Ghazal
Sab ek charagh ke parwane hona chahte hain
Asad Badayuni