ruh afsurda tabiat meri gham-kosh hui
zindagi apne hi matam mein siyah-posh hui
fikr-e-farda hui ya fikr-e-gham-e-dosh hui
teri yaad aai ki har baat faramosh hui
sohbat-e-shaiKH hui sohbat-e-mai-nosh hui
josh mein ruh na phir aai jo madhosh hui
zindagi un ke fasanon se bhi ukta si gai
jo thi sar-ta-ba-qadam gosh giran-gosh hui
jaane kya mahfil-e-parwana mein dekha us ne
phir zaban khul na saki shama jo KHamosh hui

Ghazal
Ruh afsurda tabiat meri gham-kosh hui
Aleem Masroor