putliyan tak bhi to phir jati hain dekho dam-e-naza
waqt paDta hai to sab aankh chura jate hain
Ameer Minai
kya KHabar mujh ko KHizan kya chiz hai kaisi bahaar
aankhen kholin aa ke main ne KHana-e-sayyaad mein
Amirullah Tasleem
KHizan ka bhes bana kar bahaar ne mara
mujhe do-rangi-e-lail-o-nahaar ne mara
Arzoo Lakhnavi
KHizan jab tak chali jati nahin hai
chaman walon ko nind aati nahin hai
Bismil Azimabadi
anai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-KHizan na tha
Habeeb Ahmad Siddiqui
gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT
KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT
Habeeb Musvi
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne
Ijtiba Rizvi