اردو हिंदी
Khizan Shayari | Shaahi Shayari

Khizan

14 Shers

kya roz-e-bad mein sath rahe koi ham-nashin
patte bhi bhagte hain KHizan mein shajar se du

Imam Bakhsh Nasikh




KHizan ka zahr sare shahr ki rag rag mein utra hai
gali-kuchon mein ab to zard chehre dekhne honge

Imdad Hamdani




ajab bahaar dikhai lahu ke chhinTon ne
KHizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha

Junaid Hazin Lari




aaenge waqt-e-KHizan chhoD de aai hai bahaar
le le sayyaad qasam rakh de gulistan sar pa

Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi




ai KHizan bhag ja chaman se shitab
warna fauj-e-bahaar aawe hai

Shaikh Zahuruddin Hatim




meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin

Shakeel Badayuni




aamad aamad hai KHizan ki jaane wali hai bahaar
rote hain gulzar ke dar baghban khole hue

Taashshuq Lakhnavi