KHamosh rahne ki aadat bhi mar deti hai
tumhein ye zahr to andar se chaT jaega
Abid Khursheed
dur KHamosh baiTha rahta hun
is tarah haal dil ka kahta hun
Abroo Shah Mubarak
shor sa ek har ek samt bapa lagta hai
wo KHamoshi hai ki lamha bhi sada lagta hai
Adeem Hashmi
hum ne awwal to kabhi us ko pukara hi nahin
aur pukara to pukara bhi sadaon ke baghai
Ahmad Ata
chup-chap apni aag mein jalte raho 'faraaz'
duniya to arz-e-haal se be-abru kare
Ahmad Faraz
main tere kahe se chup hun lekin
chup bhi to bayan-e-muddaa hai
Ahmad Nadeem Qasmi
ol paDta to meri baat meri hi rahti
KHamushi ne hain diye sab ko fasane kya kya
Ajmal Siddiqi