zindagi roz banati hai bahane kya kya
jaane rahte hain abhi khel dikhane kya kya
sirf aankhon ki nami hi to nahin mazhar-e-gham
kuchh tabassum bhi jata dete hain jaane kya kya
KHaTken is aankh mein to dhaDken kabhi us dil mein
dar-ba-dar ho ke bhi apne hain Thikane kya kya
bol paDta to meri baat meri hi rahti
KHamushi ne hain diye sab ko fasane kya kya
shahr mein rang jama ganw mein faslen ujDin
hashr uThaya bina mausam ki ghaTa ne kya kya
KHwab o ummid ka haq, aah ka fariyaad ka haq
tujh pe war aae hain ye tere diwane kya kya
Ghazal
Zindagi roz banati hai bahane kya kya
Ajmal Siddiqi