اردو हिंदी
Shor sa ek har ek samt bapa lagta hai | Shaahi Shayari
shor sa ek har ek samt bapa lagta hai

Ghazal

Shor sa ek har ek samt bapa lagta hai

Adeem Hashmi

;

shor sa ek har ek samt bapa lagta hai
wo KHamoshi hai ki lamha bhi sada lagta hai

kitna sakit nazar aata hai hawaon ka badan
shaKH par phul bhi pathraya hua lagta hai

chiKH uThti hui har ghar se nazar aati hai
har makan shahr ka aaseb-zada lagta hai

aankh har rah se chipki hi chali jati hai
dil ko har moD pe kuchh khoya hua lagta hai

kitna hasid hun ki ek tu hi mera apna hai
aur tu Thik se hansta bhi bura lagta hai

mere ehsas ne sawan mein ganwai hai nazar
mujh ko sukha hua jangal bhi hara lagta hai