kyun aankhen band kar ke raste mein chal raha hun
kya main bhi rafta rafta patthar mein Dhal raha hun
chaaron taraf hain shole ham-sae jal rahe hain
main ghar mein baiTha baiTha bas hath mal raha hun
mere dhuen se meri har sans ghuT rahi hai
main rah ka diya hun aur ghar mein jal raha hun
aankhon pe chha gaya hai koi tilism shayad
palken jhapak raha hun manzar badal raha hun
tabdiliyon ka nashsha mujh par chaDha hua hai
kapDe badal raha hun chehra badal raha hun
is faisle se KHush hain afrad ghar ke sare
apni KHushi se kab main ghar se nikal raha hun
in pattharon pe chalna aa jaega mujhe bhi
Thokar to kha raha hun lekin sambhal raha hun
kanTon pe jab chalunga raftar tez hogi
phulon bhari rawish par bach bach ke chal raha hun
chashme ki tarah 'alam' ashaar phuTte hain
koh-e-giran ki surat mein bhi ubal raha hun
Ghazal
Kyun aankhen band kar ke raste mein chal raha hun
Alam Khursheed