kise KHabar wo mohabbat thi ya raqabat thi
bahut se log tujhe dekh kar hamare hue
Ahmad Faraz
ye bhi ek baat hai adawat ki
roza rakkha jo hum ne dawat ki
Ameer Minai
apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi
dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko
Arshad Ali Khan Qalaq
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe
jab kabhi hum dost ho jaen to sharminda na hon
bear enmity with all your might, but this we should decide
if ever we be friends again, we are not mortified
Bashir Badr
dushmani ka safar ek qadam do qadam
tum bhi thak jaoge hum bhi thak jaenge
Bashir Badr
mohabbat adawat wafa be-ruKHi
kirae ke ghar the badalte rahe
Bashir Badr
wafa par dagha sulh mein dushmani hai
bhalai ka hargiz zamana nahin hai
Dattatriya Kaifi