aaj ki raat bhi tanha hi kaTi
aaj ke din bhi andhera hoga
Ahmad Nadeem Qasmi
dete nahin sujhai jo duniya ke KHatt-o-KHal
aae hain tirgi mein magar raushni se hum
Anjum Rumani
ulfat ka hai maza ki 'asar' gham bhi sath hon
tarikiyan bhi sath rahen raushni ke sath
Asar Akbarabadi
aushni phaili to sab ka rang kala ho gaya
kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya
Azad Gulati
shahr ke andhere ko ek charagh kafi hai
sau charagh jalte hain ek charagh jalne se
Ehtisham Akhtar
andheron ko nikala ja raha hai
magar ghar se ujala ja raha hai
Fana Nizami Kanpuri
ishq mein kuchh nazar nahin aaya
jis taraf dekhiye andhera hai
Nooh Narvi