lab-e-KHamosh se ifsha hoga
raaz har rang mein ruswa hoga
dil ke sahra mein chali sard hawa
abr gulzar pe barsa hoga
tum nahin the to sar-e-baam-e-KHayal
yaad ka koi sitara hoga
kis tawaqqoa pe kisi ko dekhen
koi tum se bhi hasin kya hoga
zinat-e-halqa-e-aghosh bano
dur baiThoge to charcha hoga
jis bhi fankar ka shahkar ho tum
us ne sadiyon tumhein socha hoga
aaj ki raat bhi tanha hi kaTi
aaj ke din bhi andhera hoga
kis qadar karb se chaTki hai kali
shaKH se gul koi TuTa hoga
umr bhar roe faqat is dhun mein
raat bhigi to ujala hoga
sari duniya hamein pahchanti hai
koi hum sa bhi na tanha hoga
Ghazal
Lab-e-KHamosh se ifsha hoga
Ahmad Nadeem Qasmi