tumhaare sang-e-taghaful ka kyun karen shikwa
is aaine ka muqaddar hi TuTna hoga
Abdul Hafiz Naeemi
is liye kahte the dekha munh lagane ka maza
aaina ab aap ka madd-e-muqabil ho gaya
Agha Shayar Qazalbash
pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain
aaina dekh ke munh chum liya karte hain
Ahmad Husain Mail
jo reza reza nahin dil use nahin kahte
kahen na aaina us ko jo para-para nahin
Ahmad Zafar
mushkil bahut paDegi barabar ki choT hai
aaina dekhiyega zara dekh-bhaal ke
a problem you will face, you'll find an equal there
look into the mirror with caution and with care
Ameer Minai
aaine se nazar churaate hain
jab se apna jawab dekha hai
Ameer Qazalbash
dil par choT paDi hai tab to aah labon tak aai hai
yun hi chhan se bol uThna to shishe ka dastur nahin
Andaleeb Shadani