dard-e-dil kitna pasand aaya use
main ne jab ki aah us ne wah ki
Aasi Ghazipuri
aah jo dil se nikali jaegi
kya samajhte ho ki KHali jaegi
those sighs that emerge from this heart so fiiled with pain
do you truly think unanswered these will now remain?
Akbar Allahabadi
wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka
na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai
Akhtar Ansari
dil par choT paDi hai tab to aah labon tak aai hai
yun hi chhan se bol uThna to shishe ka dastur nahin
Andaleeb Shadani
arsh tak jati thi ab lab tak bhi aa sakti nahin
rahm aa jata hai kyun ab mujh ko apni aah par
it cannot even reach my lips, it used to reach the highest skies
I feel compassion at the sorry condition of my sighs
Bayan Ahsaah Khan
meri aah ka tum asar dekh lena
wo aaenge thame jigar dekh lena
Dagh Dehlvi
kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai
hum aah to karte hain fariyaad nahin karte
Fana Nizami Kanpuri