aabaad karen baada-kash allah ka ghar aaj
dan juma ka hai band hai mai-KHane ka dar aaj
Riyaz Khairabadi
aafat hamari jaan ko hai be-qarar dil
ye haal hai ki sine mein jaise hazar dil
Riyaz Khairabadi
aage kuchh baDh kar milegi masjid-e-jame 'riyaz'
ek zara muD jaiyega mai-kade ke dar se aap
Riyaz Khairabadi
aalam-e-hu mein kuchh aawaz si aa jati hai
chupke chupke koi kahta hai fasana dil ka
Riyaz Khairabadi
ab mujriman-e-ishq se baqi hun ek main
ai maut rahne de mujhe ibrat ke waste
Riyaz Khairabadi
achchhi pi li KHarab pi li
jaisi pai sharab pi li
Riyaz Khairabadi
ahl-e-haram se kah do ki bigDi nahin hai baat
sab rind jaante hain abhi parsa mujhe
Riyaz Khairabadi
aisi hi intizar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaq mein apni basar na ho
Riyaz Khairabadi
allah-re nazuki ki jawab-e-salam mein
hath us ka uTh ke rah gaya mehndi ke bojh se
Riyaz Khairabadi