kya sharab-e-nab ne pasti se paya hai uruj
sar chaDhi hai halq se niche utar jaane ke baad
Riyaz Khairabadi
lab-e-mai-gun ka taqaza hai ki jina hoga
aankh kahti hai tujhe zahr bhi pina hoga
Riyaz Khairabadi
luT gai shab ko do shai jis ko chhupate the bahut
in hasinon se koi puchhe ki kya jata raha
Riyaz Khairabadi
mai-KHane mein kyun yaad-e-KHuda hoti hai aksar
masjid mein to zikr-e-mai-o-mina nahin hota
Riyaz Khairabadi
mai-KHane mein mazar hamara agar bana
duniya yahi kahegi ki jannat mein ghar bana
Riyaz Khairabadi
mar gae phir bhi talluq hai ye mai-KHane se
mere hisse ki chhalak jati hai paimane se
Riyaz Khairabadi
mar gaya hun pe talluq hai ye mai-KHane se
mere hisse ki chhalak jati hai paimane se
Riyaz Khairabadi
mehndi lagae baiThe hain kuchh is ada se wo
muTThi mein un ki de de koi dil nikal ke
Riyaz Khairabadi
mere aaghosh mein yunhi kabhi aa ja tu bhi
jis ada se teri aankhon mein haya aai hai
Riyaz Khairabadi