wo puchhte hain shauq tujhe hai visal ka
munh chum lun jawab ye hai is sawal ka
Riyaz Khairabadi
wo joban bahut sar uThae hue hain
bahut tang band-e-qaba hai kisi ka
Riyaz Khairabadi
wo bole wasl ki han hai to pyari pyari raat
kahan se aai ye allah ki sanwari raat
Riyaz Khairabadi
'riyaz' tauba na TuTe na mai-kada chhuTe
zaban ka pas rahe waza ka nibah rahe
Riyaz Khairabadi
shaiKH-ji gir gae the hauz mein maiKHane ke
Dub kar chashma-e-kausar ke kinare nikle
Riyaz Khairabadi
sayyaad tera ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi siwa mujhe rahat chaman mein thi
Riyaz Khairabadi
ote jo aae the rula ke gae
ibtida intiha ko rote hain
Riyaz Khairabadi
sher-e-tar mere chhalakte hue saghar hain 'riyaz'
phir bhi sab puchhte hain aap ne mai pi ki nahin
Riyaz Khairabadi
'riyaz' ehsas-e-KHuddari pe kitni choT lagti hai
kisi ke pas jab jata hai koi muddaa le ka
Riyaz Khairabadi