ote jo aae the rula ke gae
ibtida intiha ko rote hain
Riyaz Khairabadi
sayyaad tera ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi siwa mujhe rahat chaman mein thi
Riyaz Khairabadi
shaiKH-ji gir gae the hauz mein maiKHane ke
Dub kar chashma-e-kausar ke kinare nikle
Riyaz Khairabadi
sher-e-tar mere chhalakte hue saghar hain 'riyaz'
phir bhi sab puchhte hain aap ne mai pi ki nahin
Riyaz Khairabadi
shoKHi se har shagufe ke TukDe uDa diye
jis ghunche par nigah paDi dil bana diya
Riyaz Khairabadi
suna hai 'riyaz' apni daDhi baDha kar
buDhape mein allah wale hue hain
Riyaz Khairabadi
unhin mein se koi aae to maiKHane mein aa jae
milun KHud ja ke main ahl-e-haram se ho nahin sakta
Riyaz Khairabadi
uThta hai ek panw to thamta hai ek panw
naqsh-e-qadam ki tarah kahan ghar banaen hum
Riyaz Khairabadi
uThwao mez se mai-o-saghar 'riyaz' jald
aate hain ek buzurg purane KHayal ke
Riyaz Khairabadi