mere ghar mein ghair ke Dar se kabhi chhup jaiye
ghair ke ghar mein chhape the aaj kis ki Dar se aap
Riyaz Khairabadi
meri saj-dhaj to koi ishq-e-butan mein dekhe
sath qashqe ke hai zunnar-e-barahman kaisa
Riyaz Khairabadi
mere ghar misl tabarruk ke ye saman nikla
aastin qais ki farhad ka daman nikla
Riyaz Khairabadi
muflison ki zindagi ka zikr kya
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
Riyaz Khairabadi
naseh ke sar par ek lagai taDaq se
phir hath mal rahe hain ki achchhi paDi nahin
Riyaz Khairabadi
najd mein kya qais ka hai urs aaj
nange nange jama hain hammam mein
Riyaz Khairabadi
nigah-e-naz idhar hai nigah-e-shauq udhar
hum to bijli ko hain bijli se laDane wale
Riyaz Khairabadi
paun to in hasinon ka munh chum lun 'riyaz'
aaj in ki galiyon ne baDa hi maza diya
if I find these beauties, I will surely kiss
their lips for their abuses, have given me such bliss
Riyaz Khairabadi
paun to un hasinon ke munh chum lun 'riyaz'
aaj un ki galiyon ne baDa hi maza diya
Riyaz Khairabadi