wasl ki raat ke siwa koi sham
sath le kar sahar nahin aati
Riyaz Khairabadi
wo bole wasl ki han hai to pyari pyari raat
kahan se aai ye allah ki sanwari raat
Riyaz Khairabadi
wo joban bahut sar uThae hue hain
bahut tang band-e-qaba hai kisi ka
Riyaz Khairabadi
wo puchhte hain shauq tujhe hai visal ka
munh chum lun jawab ye hai is sawal ka
Riyaz Khairabadi
ye kam-baKHt ek jahan-e-arzu hai
na ho koi hamara dil ho hum hun
Riyaz Khairabadi
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab
koi bhi zarf barae wuzu nahin baqi
Riyaz Khairabadi
ye qais-o-kohkan ke se fasane ban gae kitne
kisi ne TukDe kar ke sab hamari dastan rakh di
Riyaz Khairabadi
ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki
raaten hain un mein band hamari shabab ki
Riyaz Khairabadi
ye sar-ba-mohr botalen jo hain sharab ki
raaten hain in mein band hamare shabab ki
Riyaz Khairabadi