kahti hai ai 'riyaz' daraazi ye rish ki
TaTTi ki aaD mein hai maza kuchh shikar ka
Riyaz Khairabadi
kali chaman mein khili to mujhe KHayal aaya
kisi ke band-e-qaba ki girah khuli hogi
Riyaz Khairabadi
KHuda aabaad rakkhe mai-kade ko
bahut saste chhuTe duniya-o-din se
Riyaz Khairabadi
KHuda ke hath hai bikna na bikna mai ka ai saqi
barabar masjid-e-jame ke hum ne ab dukan rakh di
Riyaz Khairabadi
kis kis tarah bulae gae mai-kade mein aaj
pahunche bana ke shakl jo hum roza-dar ki
Riyaz Khairabadi
kisi ka hans ke kahna maut kyun aane lagi tum ko
ye jitne chahne wale hain sab be-maut marte hain
Riyaz Khairabadi
koi munh chum lega is nahin par
shikan rah jaegi yunhi jabin pa
Riyaz Khairabadi
kuchh bhi ho 'riyaz' aankh mein aansu nahin aate
mujh ko to kisi baat ka ab gham nahin hota
Riyaz Khairabadi
kya maza deti hai bijli ki chamak mujh ko 'riyaz'
mujh se lipTe hain mere nam se Darne wale
Riyaz Khairabadi