nigah-e-naz idhar hai nigah-e-shauq udhar
hum to bijli ko hain bijli se laDane wale
Riyaz Khairabadi
paun to in hasinon ka munh chum lun 'riyaz'
aaj in ki galiyon ne baDa hi maza diya
if I find these beauties, I will surely kiss
their lips for their abuses, have given me such bliss
Riyaz Khairabadi
paun to un hasinon ke munh chum lun 'riyaz'
aaj un ki galiyon ne baDa hi maza diya
Riyaz Khairabadi
pi ke ai waiz nadamat hai mujhe
pani pani hun teri taqrir se
Riyaz Khairabadi
piri mein 'riyaz' ab bhi jawani ke maze hain
ye rish-e-safed aur mai-e-hosh-ruba surKH
Riyaz Khairabadi
qadr mujh rind ki tujh ko nahin ai pir-e-mughan
tauba kar lun to kabhi mai-kada aabaad na ho
Riyaz Khairabadi
qulqul-e-mina sada naqus ki shor-e-azan
ThanDe ThanDe didani hai garmi-e-bazar-e-subh
Riyaz Khairabadi
ang laega dida-e-pur-ab
dekhna dida-e-pur-ab ka rang
Riyaz Khairabadi
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab
koi bhi zarf barae wuzu nahin baqi
Riyaz Khairabadi