wo bole wasl ki han hai to pyari pyari raat
kahan se aai ye allah ki sanwari raat
Riyaz Khairabadi
wo joban bahut sar uThae hue hain
bahut tang band-e-qaba hai kisi ka
Riyaz Khairabadi
wo puchhte hain shauq tujhe hai visal ka
munh chum lun jawab ye hai is sawal ka
Riyaz Khairabadi
ye kam-baKHt ek jahan-e-arzu hai
na ho koi hamara dil ho hum hun
Riyaz Khairabadi
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab
koi bhi zarf barae wuzu nahin baqi
Riyaz Khairabadi
ye qais-o-kohkan ke se fasane ban gae kitne
kisi ne TukDe kar ke sab hamari dastan rakh di
Riyaz Khairabadi
zara jo hum ne unhen aaj mehrban dekha
na hum se puchhiye kya rang-e-asman dekha
Riyaz Khairabadi
zer-e-masjid mai-kada mein mai-kade mein mast-e-KHwab
chaunk uTha jab di moazzin ne azan baala-e-sa
Riyaz Khairabadi
zarf-e-wazu hai jam hai ek KHam hai ek subu
ek boriya hai main hun meri KHanqah hai
Riyaz Khairabadi