pi ke ai waiz nadamat hai mujhe
pani pani hun teri taqrir se
Riyaz Khairabadi
piri mein 'riyaz' ab bhi jawani ke maze hain
ye rish-e-safed aur mai-e-hosh-ruba surKH
Riyaz Khairabadi
qadr mujh rind ki tujh ko nahin ai pir-e-mughan
tauba kar lun to kabhi mai-kada aabaad na ho
Riyaz Khairabadi
qulqul-e-mina sada naqus ki shor-e-azan
ThanDe ThanDe didani hai garmi-e-bazar-e-subh
Riyaz Khairabadi
ang laega dida-e-pur-ab
dekhna dida-e-pur-ab ka rang
Riyaz Khairabadi
ahmat se 'riyaz' us ki the sath farishte do
ek hur jo baDh jati to aur maza hota
Riyaz Khairabadi
'riyaz' aane mein hai un ke abhi der
chalo ho aaen marg-e-na-gahan tak
Riyaz Khairabadi
'riyaz' ehsas-e-KHuddari pe kitni choT lagti hai
kisi ke pas jab jata hai koi muddaa le ka
Riyaz Khairabadi
'riyaz' tauba na TuTe na mai-kada chhuTe
zaban ka pas rahe waza ka nibah rahe
Riyaz Khairabadi