samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin
jo hum se mil ke bichhaD jae wo hamara nahin
Iftikhar Arif
ang se KHushbuon ka nata TuTta jata hai
phul se log KHizaon jaisi baaten karte hain
Iftikhar Arif
as aane lagi duniya to kaha dil ne ki ja
ab tujhe dard ki daulat nahin milne wali
Iftikhar Arif
awish mein gardish-e-sayyargan se achchhi hai
zamin kahin ki bhi ho aasman se achchhi hai
Iftikhar Arif
ind masjid mein gae to ungliyan uThne lagin
khil uThe mai-kash kabhi zahid jo un mein aa gae
Iftikhar Arif
oz ek taza qasida nai tashbib ke sath
rizq bar-haq hai ye KHidmat nahin hogi hum se
Iftikhar Arif
sab log apne apne qabilon ke sath the
ek main hi tha ki koi bhi lashkar mera na tha
Iftikhar Arif
sipah-e-sham ke neze pe aaftab ka sar
kis ehtimam se parwar-digar-e-shab nikla
Iftikhar Arif
shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr
sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya
Iftikhar Arif

