tamasha karne walon ko KHabar di ja chuki hai
ki parda kab girega kab tamasha KHatm hoga
Iftikhar Arif
tum se bichhaD kar zinda hain
jaan bahut sharminda hain
Iftikhar Arif
umid-o-bim ke mehwar se haT ke dekhte hain
zara si der ko duniya se kaT ke dekhte hain
Iftikhar Arif
usi ko baat na pahunche jise pahunchni ho
ye iltizam bhi arz-e-hunar mein rakkha jae
Iftikhar Arif
wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua
meri zamin pe ek marka lahu ka bhi ho
Iftikhar Arif
wafa ki KHair manata hun bewafai mein bhi
main us ki qaid mein hun qaid se rihai mein bhi
Iftikhar Arif
wahi charagh bujha jis ki lau qayamat thi
usi pe zarb paDi jo shajar purana tha
Iftikhar Arif
wahi firaq ki baaten wahi hikayat-e-wasl
nai kitab ka ek ek waraq purana tha
Iftikhar Arif
wahi hai KHwab jise mil ke sab ne dekha tha
ab apne apne qabilon mein baT ke dekhte hain
Iftikhar Arif