اردو हिंदी
SuKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali | Shaahi Shayari
suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali

Ghazal

SuKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali

Iftikhar Arif

;

suKHan-e-haq ko fazilat nahin milne wali
sabr par dad-e-shujaat nahin milne wali

waqt-e-malum ki dahshat se larazta hua dil
Duba jata hai ki mohlat nahin milne wali

zindagi nazr guzari to mili chadar-e-KHak
is se kam par to ye neamat nahin milne wali

ras aane lagi duniya to kaha dil ne ki ja
ab tujhe dard ki daulat nahin milne wali

hawas-e-luqma-e-tar kha gai lahje ka jalal
ab kisi harf ko hurmat nahin milne wali

ghar se nikle hue beTon ka muqaddar malum
man ke qadmon mein bhi jannat nahin milne wali

zindagi bhar ki kamai yahi misre do-chaar
is kamai pe to izzat nahin milne wali