اردو हिंदी
Hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain | Shaahi Shayari
hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain

Ghazal

Hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain

Iftikhar Arif

;

hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain
aansu bhi to maon jaisi baaten karte hain

rasta dekhne wali aankhon ke anhone-KHwab
pyas mein bhi dariyaon jaisi baaten karte hain

KHud ko bikharte dekhte hain kuchh kar nahin pate hain
phir bhi log KHudaon jaisi baaten karte hain

ek zara si jot ke bal par andhiyaron se bair
pagal diye hawaon jaisi baaten karte hain

rang se KHushbuon ka nata TuTta jata hai
phul se log KHizaon jaisi baaten karte hain

hum ne chup rahne ka ahd kya hai aur kam-zarf
hum se suKHan-araon jaisi baaten karte hain