samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin
jo hum se mil ke bichhaD jae wo hamara nahin
Iftikhar Arif
samundar ke kinare ek basti ro rahi hai
main itni dur hun aur mujh ko wahshat ho rahi hai
Iftikhar Arif
samundaron ko bhi hairat hui ki Dubte waqt
kisi ko hum ne madad ke liye pukara nahin
Iftikhar Arif
shagufta lafz likkhe ja rahe hain
magar lahjon mein virani bahut hai
Iftikhar Arif
shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr
sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya
Iftikhar Arif
sipah-e-sham ke neze pe aaftab ka sar
kis ehtimam se parwar-digar-e-shab nikla
Iftikhar Arif
sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega
hamare baad tum ko ye jahan kaisa lagega
Iftikhar Arif
subh sawere ran paDna hai aur ghamsan ka ran
raaton raat chala jae jis ko jaana hai
Iftikhar Arif
tamam KHana-ba-doshon mein mushtarak hai ye baat
sab apne apne gharon ko palaT ke dekhte hain
Iftikhar Arif