ye basti jaani pahchani bahut hai
yahan wadon ki arzani bahut hai
Iftikhar Arif
yahi lau thi ki ulajhti rahi har raat ke sath
ab ke KHud apni hawaon mein bujha chahti hai
Iftikhar Arif
yahi lahja tha ki mear-e-suKHan Thahra tha
ab isi lahja-e-be-bak se KHauf aata hai
Iftikhar Arif
wo mere nam ki nisbat se mo'tabar Thahre
gali gali meri ruswaiyon ka sathi ho
Iftikhar Arif
tum se bichhaD kar zinda hain
jaan bahut sharminda hain
Iftikhar Arif
wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua
meri zamin pe ek marka lahu ka bhi ho
Iftikhar Arif
usi ko baat na pahunche jise pahunchni ho
ye iltizam bhi arz-e-hunar mein rakkha jae
Iftikhar Arif
umid-o-bim ke mehwar se haT ke dekhte hain
zara si der ko duniya se kaT ke dekhte hain
Iftikhar Arif
wafa ki KHair manata hun bewafai mein bhi
main us ki qaid mein hun qaid se rihai mein bhi
Iftikhar Arif